By Udit Khera
Dard leti hai imtehaan
Toot jaata hai dil, kisi apne ke jaane se
Kaise sambhaalun main khud ko
Nahi sambhalta kisi bahaane se
Ruk gayi hai zindagi
Theher gaya hai sab kuch
Aansu rukte hi nahi
Aankhon ke kinaare se
Har phone ki ghanti
Har dastak pe aas jag jaati hai
Tere na hone se zyada
Teri yaad mujhe tadpaati hai
Khamoshiyon mein teri awaaz dhundta hun
Tere ek dard ko bhoolaane ki liye ab sau dard dhundta hun
Lakh koshish kar li
Par tu bhoolta hi nahi bhoolaane se
Kya bura hoga iss jeete jee marr jaane se
Dilon mein khali, ab sirf ek dard ka rang hai
Har pal jo jee rahe the
Ab ek jang ka sang hai