Woh Beete Hue Pal – Delhi Poetry Slam

Woh Beete Hue Pal

By Neha Govind

Yaadon mein hi kaid reh Gaye woh pal
Jinke saath beete the hamare saare Kal.

Unke naa hone par bhi unke hone kaa ehsaas hota hai
Bus unka chehra hi aankhein band karne par paas hota hai.

Sab kehte hain woh tumhare hi saath hai
Phir kyon mere paas sirf khaali haath hain.

Kaun kehta hai jaane wala Khali haath jaata hai
Woh to apno ka sukoon le Kar jaata hai.

Jo reh Gaye beete hue kal mein
Kyon bhula nahin paate hum unhe aane waale Kal mein.

Waqt se bhala Kaun hi jeet paaya hai, usne Kal bhi haraya tha
Aaj bhi insaan ko waqt ne hi haraya hai.


Leave a comment