By Neha Rattan

Kaise karu byan mar jeevan ek pita ka,
Jise kabhi maene rokar thak kar sote nahi dekha.
Tamam mushkilo bhari zindagi me bhi sabko kali jaisa rakh,
Maene pita ko khar ke bistar par sote dekha.
Hamari tamam mahangi khawahisho ko pura karte huye,
Maene pita ko purane kapdo aur fate juto me dekha.
Maa to rakhti hai khyal sara din bacho ka,
Par pita ko ek lamha bhi na mile bacho ke liye,
Par unke har sapne pure karte dekha.
Ungali pakad kar chalana, duniyadari sikhana,
Bin bole jo sab sah jaye
Us machine ki murat ko maene
Kabhi rote nahi dekha.
Pita ki chaav bani rahe sada pariwar par,
Kyunki Neh! Ne har pita ko kharo ke bich bhi haste huye dekha…..