By Ra

main kuch badal badal badal si gayi hoon,
zindagi puraani ho rahi hai, par main kuch nayi nayi hoon.
woh masoomiyat jo pehle dil mein belagaam rehti thi,
ab ek pyari si, dhoondhli si yaad ban gayi hai.
aur woh himmat jo aksar mehmaan bankaar aa jaya karti thi,
ab dera jamaakar pair pasaarkar tan gayi hai.
anjali aur tina ke beech latakti meri personality,
prem se rahul tak, kisi se nahi hoti hai gaslight,
meri azaadiyon aur nadaniyon ki toh bhai saab ho rahi hai height,
but my dil says this is what healing really feels like.
pehle sharm se jhuk jaane waali meri aankhein,
ab besharmi se matak matak kar naachti hain.
pehle sabki parwaah mein sikudte meri khwahishen,
ab beparwah hokar khule aasmano ko naapti hain.
pehle depression ko toxic positivity se sajaakar chhipane waali main,
ab apne feelings ko bedhadak, bekhauf, bindaas feel karti hoon.
kabhi hawa hawai bankar bijli giraati hoon,
toh kabhi naagin dance karte karte das jaati hoon.
ab kisiko na kehte hue, nahi hoti hai meri anxiety spike,
and my dil says this is what healing really feels like.
haan, jo dil toot gaya tha, woh phir jud toh nahi sakta,
jo trauma hai, woh nahi hota toh jo lagta, woh toh ab lag nahi sakta,
lekin apne dard ko seene se lagaate lagaate,
ab main apne aap ko prioritise karna seekh gayi hoon,
har waqt chehre pe lagaa woh confidence ka makhauta utarkar,
thoda vulnerable hona, khulkar rona, aur bina dare darna seekh rahi hoon.
yun samajh lo ki tulsi, parvati, prerna banna chhodkar,
main komolika aur payal ki perspective seekh rahi hoon.
ab lagta hai jaise finally samjh mein aa rahi hai life,
my dil says this is what healing really feels like. jo meri izzat nahi karte, mujhe rani banaakar nahi rakhte,
unse naata todna bhi aa gaya hai.
jo pyar karte hain, zindagi mein rehte hai,
unpe bharosa karna bhi aa gaya hai.
ab main apne dil ki baatein sunti hoon, apni gut feelings ko maanti hoon,
ab jaake aisa lagta hai jaise main khudko samajhti aur jaanti hoon.
ab jaake palle pad raha hai ki mere liya kya sahi aur kya galat,
ab raj aur bauji dono se kehdo, this simran’s moved on, she’s not gonna palat.
ab main jaisi bhi hoon, jisko pasand nahi, they can go take a hike,
because my dil says this is what healing really feels like.
apne desires ko express karti hoon, apne pleasures ko experience karti hoon, apni weird aadaton ko badalne ki jagah, aaj kal apne aap par itaraati phirti hoon. yakeen nahi maanoge par ab toh main cool hone ka naatak bhi nahi karti, i’m just my authentic self, char logon ki opinions se ab main nahi darti.
anshuman ho, ya manjeet, ya aditya, meri bala se,
yeh geet ab chhutti treno ke peeche nahi bhaagti, she takes a flight,
zindagi ke andheron mein bhatakte bhatakte, main khud hi ban gayi apni light, and my dil says this is what healing really feels like. saari kaaynaat bhi kam pad jaye utna khud se pyar kiya, phir apne trauma ko address kar, therapy beshumaar kiya, upar se journaling aur self-care se roz khud ko sehlaya, jo mere mental health ko suit aur support na kare, unko zindagi se hataya, apne aap ko apne waqt aur apne attention ka hakdaar banaya, dheere dheere khud se roothe apne dil ko pyar se manaya.
chakde wali spirit ke saath dear zindagi wale life lessons ko apnaye,
queen ki tarah thumakti hui khud hi apne perfect days banaye,
haan, waqt aur mehnat lagi, apni phati rooh ka rafu karke use banane mein phir zindagi ke layak, par, my dil says this is what healing really feels like. bina guilt ke bojh mein dabe jitna marzi aaram kar leti hoon,
koi agar toxic ho, toh behichak use block kar deti hoon,
apna khayal rakhti hoon, khudko compliment bhi karti hoon,
apni kindness ko behisaab style ke saath bikherti hoon,
seeta ki tarah darti nahi, ab main geeta ke jaise pankho pe chadhti hoon. samajh mein nahi aata ki mera yeh jo naya version hai,
kya sach mein woh main hi hoon?
yaar level up ho gayi hai life, mast hai meri vibe, aa gaya mera villain era, ab main nahi woh demure type, apne cracks mein molten gold bharkar, ban gayi main kintsuki-like, and my dil says this is what healing really feels like.