By Sheetal Gupta
Jab bhi bhar jati maa bolti
tu haii nadaan
aur bhar ki duniya se abi anjaan
surakahit jagah hai sirf tera ye makaan
me maan gyi, manti kyu nhi,
bachpan ki baat hai na
jab maa ki baatein lagti hai sabse nyari
aakhir unki beti thi hi itni pyaari
dhund liya fir mene apna kona
arre, it's not for rona dhona
karli thi mene apne entertainment ki puri preparation
32 inch ke dabbe ke agge yu tankr beth jati
Son Pari, Pingu aur Oswald ke sth
khoob sari maggi nigal jati
aur jab entertainment me kammi lagne lagti
apne bhai ko markar bhag jati
aur fir mummy mummy kr
usse pit te hue dekhti
holi ke time khoob saree
paani ke gubbare fulati
aur fir balcony se rahh chlte logo pe fekti
aur fir chip jati apne hi ghar me
mene CDs la lakr video games bhi kheli h
roadrash bhi, vicop2 bhi
aur spider solitaire bhi
aur mario k sth uske safar pe bhi gyi hu
uske pyar ko bachane
rukkkooo rukko rukko
meri story depressing lgri h tmhe?
magar kyuuuu?
aasmaan ki khuli hawaein
gilli ghas pe daudna
khulli hawa me khelna
sadko pe cycle chalana
sabke sth khilkhilana
pakdam pakdai, kanche, steppo
chupan chupai, gallery
bs yehhhiii sab to gavaya h mene
par jante ho kya?
maa khti hai me surakshit hu makaan me
aur bachpan m maa ki baat kn talta h..?
1 aur chotti si kahani h mere bachpan ki
ghar aya 1 naya saathi tha
dost to nhi tha vo mera
par usne bhi khudko kisi trh
mere bachpan ka hissa bna hi lia
mujhse kch 40 saal badda hga ya shayad 50
uski baatein thi sabse anokhi
maano sare sawalo ka jawab tha uske pas
par uske khel thode tedde the
vo laya tha 1 naya khilona
jisne hamesha dilaya mujhko khoob sara rona
darti thi me unse, unki baton se,
aur unke iraado se bhi
jante ho hamari dosti ke usul the
aur sazza bhi
aur jab bhi mujhse galti hoti
mjhe zorrrrrr se dabaya jata
mere paeron ko zorrrrrr se kheecha jata
aur mere pet ko dabocha jata
aur kai baar vo apni uss laal wali anguthi
ki chaap b chhod jate the
magar mujhe awaz nikalna mana tha,
koiii sunn leta to??
humari dosti sabse anokhi th na, secret thi na??
toh me chup chap rehti
vo mjhe pyaaarr se bithate aur firrr
mujhe apni taraf kheechkar galle laga lete
maano jaise jakad lete, me hil bhi nhi pati thi
aur firrr mere sath khuubb khelte
kabhi idhar se unke thande haathon ka ehsas hota
kabhi udhar se
vo khud to apne ghar laut jate the magar
mujhe vo apni gandh de jate the
me ache se nahati aur fir sare perfume deo se
unki gandh ko dhakk leti
aisa baar baar hua aur me har baar nhi boli
kabhi dinner ke bich m waqt nikal kar
mujhe mere hi kamre me le jate
ya kabhi ice cream ke bahane se ghumne
aur mjhe jana padta,
arre bhyiii, usul tha na,
na nahi keh sakti thi na..!!
kuch samay baad me choti nhi rahi
aur bhagna sikh gyi bina na bole
ye hamare usulo me nhi tha na..
thodi si cheating ki mne
par chlta hai na itna to
ap abke sawal bhi jayaz h
kisi ko kaha kyu nhi??
maa se kehti jakr..
pr janaab
maa hi to kehti thi
teri surakshit jagah hai
tera ye makaan..
ab maa ko kaise jhootha kehdu??