Bachpan – Delhi Poetry Slam

Bachpan

By Shishir Sompura

Woh galiyara yaad hai tumhe jaha khela karte the,
Wo jhula yaad hai tumhe jaha jhula karte the,
Haan, ye wahi maidan hai jaha khelna sikha tha,
Ye wahi sadak hai jaha kutto se cycle pe bhag na sikha tha.

Aur bhul kaise sakte hai is jagah ko,
Jaha darr ke sab chhodke bhage the,
Darr ko harana bhi yahi sikha tha.

Wo jagde yaad hai tumhe,
Jaha baat karni chod di thi,
Aur wahi, ek ke jagde ki wajah se dono ne ek dost se dosti tod di thi.

Aaj bhi woh misal dete hai yaari ki,
Aaj yaad aati hai ki woh yaari kitni pyaari thi,

Ye nahi keh raha ki yaad tumhari kabhi aa jati hai, 
Ye nahi keh raha ki tumhara jana, aaj bhi gale nahi utarta,
Par yaar aaj maan leta hun,
Wo gadi chalate apni gedi,
Aur wo bike chalate apni scooter ki savari yaad aa jati hai.


Leave a comment