By Kanchan Mehta
Zindagi tune bahut kuch diya, Phir bhi tujhse shikayat hai...
Ek Sapna tha jo pura naa hua, Ek Apna tha jo mera naa hua...
Aaj mein tune bahut kuch sikhaya,
Kal mein humne aaj ko gavaya,
Jo chutt gaya uska ghum manaya,
Aur jo reh gaya usko dhyan se hataya,
Gairon ko apna banaya,
Apno ko har waqt rulaaya,
Tarakki ko apna maqsad banaya,
Zindagi tune har paath padhaya,
Hai fir bhi shikayat tujhse,
Zindagi tune kyu hamein bada banaya....
Keep going
Lovely!!!
Awesome