Shikayat – Delhi Poetry Slam

Shikayat

By Aastha Gupta

shikayat?
ye shabd to kabhi sikha hi nahi.
wo aate gaye, jaate rahe,
dil ko to aadat thi bhikar ke judne ki,
isliye shikayat ka to mauka hi nahi mila.

kabhi sochke bhi hans deti thi,
par muh se aah bhi nahi nikalne deti thi,
kabhi hanste hue bhi ro rahi hoti thi,
magar khabar nahi failne deti thi.

wo udne ki koshish karti thi,
to wo girane ki.
isliye usne thaan liya tha—
ki paraye logo se kya hi shikayat karni,
jab apno se bhi nahi kar sakti.

jab apne hi paraye nikle,
to shikayat to,
uparwale se bhi kya hi karni thi.


Leave a comment