By Dr VedVyas Vishwanathan

Sabr nahi tha usse
Fursat hi kahan mili,
Ki woh apni zindagi
Jee paayega kabhi,
Yeh sheher nahi toh kya
Aur doosra sheher hi sahi,
Sheher-e-khamosh
Ka zikr kiya tha kabhi,
Toh socha usne
Kyun na basera banaye udhar
Jahan shamshan ke angaron main,
Shuru kiya jaaye ek naya safar,
Maut khaufnaak nahi,
Zindagi hai mere dost,
Kyunki jo mitaye har dukh, har gham,
Woh hai Sheher-e-Khamosh