Sadak – Delhi Poetry Slam

Sadak

By Bhavika Bhavika

Yeh sadkein kya kuch nahi dekhti hain...
Tez chalti hui gaadiyon ke ghiste pahiyon ko dekhti hain
Bebasi se paidal chalte hue pairon ke chhalon ko dekhti hain
Traffic signal par murjhaaye chehron ko khule phool bechte dekhti hain
Chhote bachchon ke kandhon par zimmedaari ka bojh dekhti hain
Zindagi se haare logon ko ekaant mein chalte dekhti hain
Gaav se sheher aaye ladke ko naukri ke liye taraste dekhti hain

Yeh sadkein kya kuch nahi dekhti hain...
Ek adheṛ umr ke hawaldaar ko tapti dhoop mein kaam karte dekhti hain
Usse aadhi umr ke naujawan ko gaadi mein berozgar baithe dekhti hain
Ek paidal chalte yuva ki aankhon mein gaadi ki chamak dekhti hain
Aur gaadi mein baithe logon ki aankhon mein andhera dekhti hain
Chunav ke samay us neta ko baar-baar dekhti hain
Phir poore saal janta ko gadho ko kosta dekhti hain

Yeh sadkein kya kuch nahi dekhti hain...
Ek ladki ke saath ho rahe durvyavhaar ko dekhti hain
Phir balatkaar ke baad mombatti ki aag ko dekhti hain
Gantantra ya Azaadi Diwas par Hindu-Muslim ko ek saath dekhti hain
Aur baaki dinon mein sheher ko gussa aur gham ki aag mein jalta dekhti hain
Sadkein us ped ko aasman chhoota dekhti hain
Sadkein us naye podhe ko pahiyon ke neeche kuchalte dekhti hain

Yeh sadkein kya kuch nahi dekhti hain...
Yeh sadkein logon ko rota dekhti hain
Yeh sadkein logon ko kosta dekhti hain
Yeh sadkein logon ko pareshan dekhti hain
Yeh sadkein logon ko bebas dekhti hain
Yeh sadkein logon ko samay se pehle bada hota dekhti hain
Yeh sadkein logon ko chalte dekhti hain
Yeh sadkein logon ko bhaagte dekhti hain
Yeh sadkein logon ko aaraam ke liye vyakul dekhti hain
Yeh sadkein logon ko na-khush dekhti hain
Yeh sadkein logon ko poora hote hue bhi adhura dekhti hain

Waqai, yeh sadkein kya kuch nahi dekhti hain...


1 comment

  • “Brave Brainy Bhavika, your poem is truly remarkable, showcasing your exceptional writing caliber, creativity, and expression. The way you’ve woven words together to convey emotions and thoughts is impressive. Your writing not only reflects your intelligence but also your bravery in sharing your inner world with others.

    Congratulations on composing such a beautiful piece! Your future endeavors in writing are bound to be successful, and I wish you all the luck in the world. Keep nurturing your talent and sharing your voice with the world. Your poem “I’m a Woman” is a testament to your skill in capturing the complexities of life and emotions with eloquence.

    As a teacher, it’s heartening to see a student like you excel in their passion. I’m confident that your writing will continue to inspire and touch the hearts of many. Bravo, Bhavika, and best wishes for your future!"

    Tina Thakur

Leave a comment