By Ruma Malik
Aaj lagta hai
Ab Meri Bari!
Aaj barre arson ke baad
apne aap se
dobara mil rahi thi main
Wo jo kahin so gayi thi
kisi kone mein baithi bathi
wo jo kahin kho gayi thi
Usko dobara mil rahi thi main
Kuch aashayein ubhar si raheen theen
Puraane sapne yaad aa se rahe the
Kuch Bhooley huye khwayesh
Jaag se rahe the
Ab meri baari
Ab meri baari
Ek goonj si pukaar
sunayi aa si rahi thi
Kayi anjaan si raahein
Kayi duur ki manzilein
Kayi paane the makaam
Aaj Sab yaad aa se raye the
Ek zamaana tha
ki ye sab mere the
main meri khi
Pata nahin kab aur kaise
bat ti chali gayi
Rishton ke is mele mein
kab kat ti chali gayi
Aaj sab rishte naate
paas ho kar bhi
duur ho chale the
Sirf main akele khadi hui thi
apni aadhi adhuri
Zindagi leeye
Aaj, Ab meri baari kehkar
wo kaun mujhe jaga rahi hai
Mujhe bula rahi hai
Lubha rahi hai
Apne aap se dobara
mila rahi hai
Sapnon ki wo kitaab ,
Mera apna wajood
Jo barson pehle bund ho chuka tha
Wo aaj dobaara
mera intezaar kar raha hai
Ki Kab main lipte huye
seelan se chipke huye
panno ko kholun
aur unhe phir se aazad karun
bina kisi khauf ke keh sakun
Ab meri bari !