By Khyati Pareek

Tum mujhse milne aate ho,
Aur hamesha dehleez pe hi thaher jaate ho,
Uss muskurahat ke saath jab tum mujhe dekhte ho,
Toh bass, mujhe yakeen ho jata hai ki pyaar dosti ka hi naam hai.
Tum bina mere kahe hi mere chehre ko padh jaate ho,
Jab shikan dikhti hai tumhe kahin toh mujhe dil kholke hasate ho,
Tum sochte ho ki mujhe kuchh malum hi nahi hoga,
Par maine bhi kabhi tumse kaha nahi, ki mujhe sab pata hai.
Haan, main pyaar karti hu tumse,
Tumhari khamoshi ke peeche chhupi tumhare papa ki daant aur taane,
Aur tumhari khilkhilati hansi ke peeche chupa ma ke khaane ka swaad,
Toh kabhi tumhara woh ghabraya hua chehra jab tumhari choti behen derr tak ghar nahi lautti.
Tum usey toh daant dete ho,
Magar mann hi mann mein khudko behlate ho, koste ho phir,
Himmat bandhte ho.
Tum meri bhi aise hi chinta karte zaroor ho par meri baat apne papa ki daant ki tarah chup chaap sunte ho...
Tum mere nahi ho,
Main tumhari nahi,
Par yeh jo bhi hai hamare darmeyaan - woh hamara hai
Zamane ka nahi, paraya nahi.
Tum mujhe kuchh batate nahi,
magar jab udaas hone par kaske mujhe gale se lagate ho toh mujhe tumhari rooh ki kampan mehsoos ho jati hai,
Pata nahi mere himmat dene se tumhe sukoon milta hai ya nahi,
Magar phir tumhara gale lagana jaise ruhaniyat ka ehsaas deta hai,
Aur tumhara dard maano mere dard ko choomta hai,
Aur zehar ki tarah usey phir kaatta hai...
Par phir mohabbat ki raat dhal jaati hai,
Aur dosti ki subah ho jati hai.
Ek baar phir main tumhari nahi hu,
Tum mere nahi,
Magar yeh jo bhi hamare darmeyaan hai,
Yeh sirf hamara hai,
Paraya nahi
Zamane ka nahi...
Baat bhale hi zubaan tak na aaye,
Par yeh aankhein kahan maanti hain?
Yeh toh tumhare chehre ki gehraiyo mein kho hi jati hain...
Haan, tum pyaar karte ho mujhse,
Isiliye mujhe derr raat bhi ghar chhodne aate ho,
Aadhi neend se uthkar bhi mera phone zaroor uthate ho,
Meri galtiyon par mujhe tokte ho daan'te ho...
Aur baarish mein ek chhaate ke neeche kaske apne seene se lagate ho,
Aur meri choti choti baaton ka khayal rakhte ho,
Par shayad tum iss waqt mujhe batane ki himmat nahi rakhte,
Tum darte ho,
Meri tarah,
"Ki ho sakta hai main hi galat soch baitha?"
Kaash main tumse keh paati ki hum dono ek hi soch rakhte hain
Par iss dosti ko pyaar ka naam dene se darte hain
Pur tum akele nahi ho.
Tum mere bhale hi nahi ho,
Aur main tumhari na sahi,
Magar yeh jo bhi haina hamare darmeyaan,
Yeh hamara hai,
Zamane ka nahi,
Aur shayad hamesha ke liye na sahi magar yeh sacha pyaar hai,
Aur sach mein yeh bahut pyaara hai.
Kya pata ek dinn tum uss dehleez ko paar kar sako,
Aur main bhi uss chaukhat ko laangne se na daru?
Kyunki yeh ishq hai, itna pata hai,
Yeh mera hai aur yeh tumhara hai,
Yeh hamara hai,
Zamane ka nahi,
Paraya nahi...
Aur pyaar dosti ka hi naam hai...