By Neeti Goswami
Jab janme naari, tab hoti hai beti
Ghar ki, banti hai behan bhai ki.
Jab badi ho jaye,
To karti hai apne kartavyo ko poora,
Khud ko samajh mein saksham bana kar.
Jab shaadi ho uski,
To banke ghar ki bahu,
Aur kisi ki patni,
Apne aap ko sabit karti,
Zimmedariyon ko poora karti.
Maa banti hai jab woh,
Nyochhavar kar deti hai apna samay aur pyaar,
Bhula kar khud ki zarooraton ko.
Apne jeevan ke har charan mein,
Sabko khush rakhne ka prayatna karti hai,
Apni abhilashaon aur ichchhaon ko chhodkar,
Apne pariwar aur apnon ka rakhti hai dhyaan.
Apna poora jeevan,
Aur uske pal luta deti hai sabke liye.
To uska yeh haq banta hai:
Aapke pyaar, sammaan evam saath ko har shan paane ka,
Zindagi ke har pal ko khushi se jeene ka — dil se.
Kadr paa kar, aapse bina badle,
Use samajhne ka.
Uske liye samay nikaalkar,
Uski unnati ke path par saath dene ka.
Sarvopari — uske sammaan ke liye duniya se takraane ka,
Taaki garv se har naari ko khud par naaz ho,
Aapke liye apna jeevan vyateet karne ka.
Samman karein har Naari ka
Kyonki woh hai,
To iss sansar ka astitva hai.
Powerful tribute to womanhood, truly inspiring.
Every word echoed strength and grace. You nailed it.😌👌
What a beautiful observation! You have highlighted the various stages of a man’s life, where women play significant roles – mother, sister, friends/besties, spouse, and daughter. It’s indeed interesting to note that the spouse is always rolling in men life twice, ( at age of young as wife and old age as a mom ) reflecting the importance of women in a man’s life.
Well ❤️🩹 nailed it
The poet Neetu experience and doodles (insights) bring out the emotions and importance of these relationships
Bravo 👏👏
Excellent poem 🙌💕🙌
Awesome!! … keep on inspiring millions through your beautiful poetries.
Very nice touching bhout sunder👌👌
Very nice touching
Bahut sundar kavita hai 👌👌