Muttaq – Delhi Poetry Slam

Muttaq

By Harshita Shekhawat


Jo apne aap mein poori ho.

Aapka hona
ek muttaq ki tarah hi to hai.
Woh jo apne mein poori ho,
aur jiske bina main aadhi
aur agar jo saath ho to sabse
kuch zyada hi main hoon.

Muttaq,
Jo mahal banati hai
use ghar mein maine sajaya hai
mahal pe mahal ban jate hai roz,
ghar bhala kaun baar baar banata hai.

Muttaq se kuch kam to nahi aap
muttaqi jo main ban baithi hoon
muttaq se bani jati hoon
khud mein use hi basa pati hoon
har raste par phir bhi,
use hi dhoondhti nazar aati hoon.


Leave a comment