By Sunita Patel
Ye kuch panktiyaan jo meri family se relate karti hain...unke dard ko bayaan karti hain..jitna maine dekha hain mere nazariye se....
Bachpan jabse sambhala tab se jana hain
Kuch dard dikhte to hain lekin hum unhe bayaan nahi kar pate...
Maine dekha hain Maa ko tane sunte huye ki ghar chhod kar maze karne gaye ho mumbai...dadaji se
Maine dekha hain Papa ki aankho me vo thehere huye aanshu vo bolte nahi hain lekin unke shabdo ki aah batata hain ke unme dard bahot hain.
Maine dekha hain kisi aur ke dard me khud ko dard hote huye.
Maine dekha hain Maa ko school me hath jodkar mafi mangate huye ki hamari fees baki hain hume kuch waqt de dete to hum bhar dete.
Maine dekha hain Papa ko apne kaam ke paise bhi bheek ki tarah mangate huye.
Maine dekha hain Maa ko Gahu, chawal,Ghaslet(kerosene) aur ghar ke rashan ke liye har gali aur dukan me jate jaha rashan sasta mil jaye to mahine bhar ghar chal jaye..
Maine dekha hain Papa ki uun hatheli jo kam karte huye itni kathor ho gayi hain ke agar vo chaku ay tej dhar chiz se kat bhi jaye to unhe dard bhi mehsoos na hoga.
Maine dekha hain unhe jo apna man markar apne baccho ke liye khushiya dhundate huye.
Maine dekha hain unhe aaj bhi apne haqq ki ladai apno se ladte huye aur apno se vishwasghat aur dhoka khaye huye.
Maine dekha hain unko neend me baar baar karwat badalte huye mano ander hi ander haar raho ho jaise.
Maine dekha hain jab apka bura waqt aata hain to jisko apne khana aur rehne ko diya ho vo bhi tumhe tab nazar andaaz karta hain.
Maine dekha hain didi ko bindi(Tikli)na milne par ghar par ro kar aate huye aur Maa se kehte huye ke aaj bindi(tikli) nahi mila aaj pura mahina kaise chalega.
Maine dekha hain ghar me rashan khatm ho jane par sirf pani pikar sote huye.
Maine dekha hain badi didi ko kisi aur se book lekar aur college ki party ya function me nahi jate huye ki waha par paise dene padte hain.
Maine dekha hain bade bhai ko kaam ke liye sabke pass jate huye aur unka kam par na rakhna ke khud ka ghar nahi hain kuch saman chori ho gaya to kaha dhundenge.
Maine dekha hain ab (papa) unke aanshu aankho me theherte nahi hain beh jate hain aur vo aansho ab dard baya karte hain ki apno se vishwasghar ,kisi se umeed aur ab kanun se apne nyay ki ummed mano jaise uun dard me ab thakan nazar aane lagi hain.
Ab Maine dekha nahi ab main dekha rahi hum mere papa ko har pal Marte huye aur unke vo aanshu jo sirf dard bayaa karta rahe ho.
Unke aanshu se ab unse dard ka andaaza lag jata hain agar vo tap tab kar beh rahe hain to mano dard ko soch soch kar rona rahe hain aur jab lagataar beh rahe hain to mano sare dard bahar beh rahe ho.
Main dekha hain unke sangharsho ko unki ladai ko jo aaj bhi ek ummeed jo aaj bhi unki aankho me dikhai deti hain.
Aasha karti hu ap sabhinko meri ye panktiyaan aachi lage ..