By Jahnvi Hans

Main Draupadi hoon...
na kisi ki jeet ka inaam
na kisi ki haar ka dard hoon
main shabd hoon-jo chhupaya gaya
aur phir bhi, har yug mein goonjta raha…
Kaha tha na maine,
ki main paanchon indriyon ki agni hoon,
jo har ek seene mein
sammaan jalane ka kaam karti hoon.
Par unhone mujhe vastraheen kar
sirf dekhna chaha.. meri bhagwan mein aasthaa ya meri haalat?
Main us sabha mein sirf ek aurat nahi thi,
main ek prashn thi-
jis ka jawaab aaj tak na mila.
Aur jo mila,
wo sirf sannata tha…
Main bhool gayi thi shant rehna,
main chillaayi thi
kyunki jab shareer chheena jaata hai
tab atma cheekhti hai.
Aur meri cheekh se nikalti hai
ek agni.. jo na kabhi bujhi thi, na bujhegi.
Krishna ne meri laaj bachayi .....
par meri laaj toh tab chhin gayi thi
jab mujhe sabha mein laaya gaya-
jaise main koi vastu hoon,
naari nahi.
Yaad rahe...Main Draupadi hoon.
Mujh mein shanti nahi.. kranti bastee hai.
Aur meri aankhon mein wo aag hai
jo har yug mein
satya ke liye bhadakti rahegi.
Wonderful and powerful words
A poetry which is speaking louder than beti bachao beti pdhao aandolan❤️
Positive Aura++
Amazing!!
So powerful!!!