Magar Kyu – Delhi Poetry Slam

Magar Kyu

By Jahan Thakar

Waise bhagwaan mai maanta nahi
par mandir ke paas jaata hun toh jhukta hun
jhukta hun fir apne aap se hi puchta hun, magar kyu?
uske jawaab mai kuch aata toh nahi

Fir kyu jhukta hun uske saamne
jo sabko dekhta toh hai
par jab ladkiyo ka balatkaar hota hai
toh kyu woh kuch karta nahi?

jab sochta hun ke dekhe ko undekha dikhata hai
aur tum usse sawaal karte ho toh jawaab woh deta nahi
Fir bhi mandir ke paas se guzarta hun toh mai jhukta hun
par puchta hun jab apne aap se, magar kyu?
toh uske jawaab mai kuch aata toh nahi

Jo tujhe yaad nahi karta
usse tu deta hai duniya ke saare sukh
par jo bhikhari humesha teri chaukhat pe bethe
tujhse madad ki umeed karta hai
usse toh baarish mai chaata bhi naseeb nahi

Jab sochta hun ke tu ye sab dekh ke bhi andekha karta hai
toh vichaar aata hai ke fir teri koi leela ki baate kyu kare
par jab mandir ke paas se guzarta hun toh mai jhukta hun
aur khudko jab bhi puchu, magar kyu?
toh jawaab mai kuch aata hi nahi

Hain aisa kyu,
ke tere baare mai jo hamesha sochta hai
woh roz nark mai jeeta hai
woh bhala aise sapne kyu dekhta hai ke tu unhe swarg dega
tere in dusri duniya ke vaado ke liye kisiko is duniya mai kyu bhugatna pade?
par jab pandit se ye sawaal puchho toh bolte hai, ye chhodo bolo
"hare hare"

kyu maanu ke tu jo bole woh sach
kyu aisa ke tere hote bhi duniya mai bhurai hai
par tu uske baare mai kuch karta nahi
par jab bhi mandir ke paas se guzarta hun toh mai jhukta hun
jab khudse puchta hun, magar kyu?
toh uske jawaab mai kuch aata toh nahi

shayad tu hai hi nahi
par fir din khatam hone par kyu maanlete hai log ke jo tu bole wahi sahi
un baccho ki kya galti jo bhook se mare
par teri chaukhat par jaakar jab mai pandit se puchta hun aisa kyu?
toh woh kehte hai bolo, "hare hare"

shayad sirf tu hi nahi jo dekhe ko andkeha kare
par fir hum tujhe bhagwaan kyu kahe?
kyu teri chaukhat par aakar tujhse kuch maange
par fir bhi jab mai mandir ke paas se guzarta hun
toh mai jhukta hun
par jab mai khudse puchta hun magar kyu?
toh uske jawaab mai kuch aata toh nahi...


Leave a comment