Ki ab bas hua ... – Delhi Poetry Slam

Ki ab bas hua ...

By Sumit Birwal


Sapno ka makaan bhi tha, ek gaj samaan vichaar bhi tha
Duaa maangne gaya bhi mai jaha mazaar nahi tha.
Meri ummeed ka ant tha, wo mere wajood ka vilom tha
Aawaz aayi thi ek baar or mai gaya bhi tha par us din kiwaad band tha.
Meri har koshish ka ant tha, chamakte un sapno ki neend ka waqt tha
Us lamhe me mere kaan me kismat boli, chal hat Aaj bhi kisi or ka waqt tha.
Gam or zaam se jo thi yaari hamari, meri tanhai ka yahi ant tha
Aise tute ki bikhar gaye, jaha jaha tak aansui ka basera tha.
Aaj bas hua, ek fursat me baithna hai, apni bewafa zindagi ke saath
Sar utha ke marna hai bas mere bachche ko na batana ki uska baap buzdil tha.


Leave a comment