By Ashish Kumar
Janmega jad se pat kabhi
Ye aas rok kar baitha hu
Wo kehti h awaaz na kar
mai saans rok kar baitha hu
Mai khada ghane andhere me
Tu halki si awaaz to kar
Main hawa ban jau neer tale
Mere naam ka tu ek saans to bhar
Main andhere galiyaaron sa
Tere shehar se hokar chalta hu
Ye dekh tere bin kaisa hu
Jo saansein lekar marta hu
Na pooch meri ab halat tu
Ab mera tu paigaam na le
Yun aati reh tu nazron me
Bs ab tu mera naam na le