By Priyanshi Namdeo
Phir shuru hua vah dvandv
mere mann mein jiska koi ant nahin
phir uthi wo jwala jo bhadke
to laapte dhrishta jahan kahin
Yeh srishti rachna tumhaari hai
sab hota tumhaari kathni par
phir kyon tumne Krishna bolo
roka hone se sarv hitkar?
Droupadi swayamvar hona tha
sarvshreshtha dhanurdhar chunna tha
asambhav sambhav kar paaya tha
jab Karn ne dhanush uthaya tha
Us samay ko phir kyon roka tha?
usey sootputra keh toka tha
lajjit hua bhaari sabha mein wo
usey kyon aakunthit hona tha?
Hey Chakradhari, hey Nyaayadheesh
tum kaise chhal kar sakte ho?
jo sadaiv hi abhaagya raha
usey kyon tum nirbal karte ho?
Is maya ke tum rachiyta sahi
par pakshpaat kar paate ho?
Kauntey ko kshatriya na kehkar
uspar aaghaat kar jaate ho!
Suryaputra ka sheesh jukaa
aur phir ek baar wo hriday dukhaa
kaise phir koi dhara par ab
tumpar sampoorn vishwas kare?
ke hey atipriya Kanhaiya
kaise tumse saancha pyaar kare?
Usme tha dharm Yudhishthir ka
bhujbal Bheem ka tha uspar
Arjun jaisa tha yoddha jo
saundarya jhalakta Nakul sakal
Sehdev sa buddhijeevi wo
Daanveer Karn tha kehlaata
tumne hi to tha batlaaya
Paandav pratibimb wo eklauta
Mahadev ke var ka saakshi wo
Paanchaali hriday vijayi dyota
vidit tha Karn Droupadi milan
saarthak-aakanshi yashasvi hota
Na hota yuddh, na hi sanhaar
palat jaata vyathaa ka bhaar
tum na karte chhal-kritya wahan
na hota vyarth apatya mahaan
Ab kisey dosh de jaate ho?
kyon khed nahin kar paate ho?
na do mujhko prarabdh ka gyaan
na hi anupekshya yuddh-aavhaan
Yah katha Karn ki paati hai
prashno se chhalni chhaati hai
Raadhey ko bhi to nyaay mile
kabtak wo hi har janm jale?
Tum ab uspar upkaar karo
usey uttar do, usey paar karo
Neeti-sammat ek baar sahi
Karnaakhyaan Granthagaar karo
usey uttar do, usey paar karo!