By Vrinda Sehgal
Usko pyaar nahi hai tumse
Toh karvaoge kaise?
Tumhare naseeb mein nahi hai uska haath
Toh thamvaoge kaise?
Jab naseeb se ladke tareef bhi na le pao unse
Toh sanam mere, unke saath yeh majboori ki zindagi
Bitaoge kaise?
Woh roz ek takk tumhe dekha karte hain
Toh laga kyu ki pyaar hai use?
Dekhti toh tumko tumhare shyaam ki nazar bhi hai
Toh unke hisse sirf shikva ho kaise?
Tum kehte ho woh jaante hain tumhe
Woh rehte tumhare ird gird hi hain humesha
Par jaaneman, jo saath na chal sake
Uske saath ghar tak ka ek raasta banaoge kaise?
Tumhe jismani nazdeekiyaan
Unka khumar lagti hain
Par jo pyaar sirf choone par hi dikhe
Usko rooh se milaoge kaise?
Hum nahi kehte ki woh tumhare nahi hain
Woh tum khoob jaante ho
Par jab roz raat takiye se unki chah ki maang karte ho
Toh uss bheek ko, pyaar banaoge kaise?
Ishq, pyaar, love yaan kuchh bhi kaho
Bolne ke tareeke hazaar sahi
Par jab yaar ki rooh se na mehsoos kar pao inhe
Toh iss jhol se bahar aaoge kaise?
Ek nasihat dein aapko?
Mitane se nahi mitegi yeh deewangi
Toh jab ishq hi karte ho, toh khudse kar lo
Warna kisi aur ki umeed mein,
Apni parchai ko ek aaine se bhi milvaoge kaise?