Hai Himmat Toh Koshish Kar Ke Dekh!! – Delhi Poetry Slam

Hai Himmat Toh Koshish Kar Ke Dekh!!

By Rajesh Kumar

Hai himmat toh koshish kar k dekh,
Rok jaye jo tera manzil,
waise manjar se tu dur ho kar dekh,
Suraj sa jalna hai tujhko,
samandar sa vishal banna hai,
fir kyu tu roktah hai khudko,
Hai himmat toh koshish kar k dekh,
Nadi ki dhara ban kar pathar tak tu tor de,
Phor le apni kali kismat, tor de sab janjire ,
Bewaqt waqt ko kisne dekha hai,
aakrosh mey bhi manjil dekh,
Tu parwat tak kya sochta hai,
chhuna hai toh sitaro ko chu,
Rahon ki tu chinta mat kar,
manjil par bas apna dhyan de,
hai himmat toh koshish kar k dekh,
Arre chitiyon se sikh, koshish karna,
Koyal ki bakhan mat kar,
Tu hai aur Tera junoon hai,
isme ishwar ko samil mat kar,
Bhuk jaga kuch pane ki,
tere andar k ansh ko bahar aane de,
Hai himmat toh koshish kar k dekh..

Pagal hai kya tu, kyu sochta hai dusro ka
Arre pagal hai kya tu
jis mitti ka bana hai ushi mitti me hi milna hai,
kuch aisa kar ki teri mitti ko puje log,
Hai himmat toh koshish kar k dekh,

Kya naapta hai saanzh sawere
Arre loha hai tu
aag me jalna tera kaam hai
Tu soch mat itna peeghal kar fir se majboot bana hai
Hai himmat toh koshish kar k dekh
ruk jaye jo bin koshish k
toh tu bekar
hai andehera sirf tere aage
dipak ban kar ek baar jal kar k toh dekh
Hai himmat toh koshish kar k dekh !!


Leave a comment