Duniyadari – Delhi Poetry Slam

Duniyadari

By Sufia Begam

Thand ke subah mein kisi ne mera darwaza khatkhataya
Aadhi neend mein maine kuch toh badbadaya
Woh razai se bahar nikalna aur thandi thandi farsh mein pair rakhna
Jaise “oooi maa oooi laga di suiii”
Phir Dilli sarkar ki tarah khud ko sambhala
Aur kohre aur dhoondh ke vatavaran mein darwaze ki kundi kholi
Kaam wali didi ko dekh kar meri aadhi neend aur chain kho gayi
Bartano ki awaaz mein hum apni neend ki talash mein
Unke nange paon dekh kar mujhe
Room heater aur geyser ki kasam
Saari neend jaise lays ke packet ki tarah hawa mein ud gayi
Mujhe ek baar ke liye Ambani aur Laal Paani yaad aa gaye
Aisa laga agar meri neend yeh dekh kar khul sakti hai
Toh mere andar thodi si insaniyat bachi hai
Zen Z ki language seekhte seekhte
Main dusra Covid aur jung na dekh loon
Unki kitaabon se zyada mere anubhavon ka bol bala hai
Main bhi keh sakti hoon—
Maine woh dekh daala hai
Jo kitaabon mein bhi nahi daala hai

Modernaaree

Main rou, main sou
Main hansu, main ghoomoon
Main khao, main peeyoon
Meri marzi
Tu kaun?
Hain kaun tu?

Main stree
Main janam doon
Main paaloon
Main sahoon, main sunoon
Main chup rahoon?
Kyu re?
Hain kaun tu?

Mera chehra, meri laali
Meri yeh peeli saari
Mere heels, mere pills
Hain yeh meri marzi
Tu kaun?
Hain kaun tu?

Jor se hansoon
Khaane ke liye cook rakhoon
Der se uthoon, thoda chai pee loon
Office ke kaam kar loon
Boss ki gaali kha loon
Thoda gossip aurship kar loon
Meri marzi
Hain kaun tu?


Leave a comment