By Vandana Kanet

Khamoshi Ki bhi zuban Kyan Hoti Hai,
Dhadkano ke Bhi Awaz Kya Hoti Hai,
Dard ka ahsas toh hota hai
Aur Jazbaat ko bhi Aitraj Hota Hai,
jab kabhi AkeleHummudh kar Dekhtey hain,
Rahen toh Hoti hain Par Manjeley kyun Nahi Dekhti ,
Dost bhi Hotey hain par sath nahin Chaltey
Wah Bhi to Hote hain Par Dil Ke baat nahin Samajhtey,
Zindagi ki Rahon main Kyon Kar aisa mukam Aata Hai ,
ki Phir Ekbar Dil Yeh Tanha Ho Jata Hai,
Kyon na Saath Chalne ko koi Manzoor Hota Hai
,Kyon dil Akele Chalne Par Majboor Hota Hai ,
Chaho to Bhi Dil nasaz Samajhta Hi nahi,
Chaho to Bhi Chahat ko Badalta Hi Nahi ,
Woh Bhi Mere Jeene ki wajah Hai Sirf,
Duniya ko pata Hai ,pata Hi Nahi Unko hain Siraf.
Humne to Jinko Samajh Liya Duniya Saari,
Woh na Samjhe jab aaye Unki Bari ,
Khuda agley Janam agar mujhey Insaan Banana
Toh Phir Ye Dard na Dena Jo Ban Jaye PhirSe Jeene ka Bahana.