Daagon se Pyaar – Delhi Poetry Slam

Daagon se Pyaar

By Jeet Chawla

Woh toh burai se bhi achai nikal liya karta tha
Woh toh mitti se bhi paani chaan liya karta tha
Bhale hi khudki jholi mei ek daana na ho
Doosron ki bhookh mita liya karta tha

Guzaari thi woh raatein usne akeli hi
Jab ek shaks ki kami usse khalti rahi
Woh kambakht aaj agar aa bhi jaye
Toh shayad usse dekhne ko yeh palkein bhi na uthaye

Raat bhar ki tanhai thi uski baaton mein
Sookhe dil ko bheega raha tha woh khwabon mein
Khud mein chhupa ek nayab raaz sa tha
Chaand ki roshni mei dilchaspi thi kam
Usse daagon se zara pyaar sa tha


1 comment

  • Beautifully written and deeply heart touching!

    Sanya Nath

Leave a comment