By Shreya Das

Bachpan ki Khwaish
Milta hai mujhe daant
Mere shararaton ke wajah se,
Bade rakhna chahte hain mehfooz mujhe
Har ek badi jagah se,
Main karta hoon wahi, jo lagta hai mujhe sahi
Mehfooz hoon main, par azaad nahin.
Ae meri umr, tu itni tezi se badh
Ki kabhi koi pinjra ban na paaye mera ghar,
Mere is pinjre ko jald se toh
Le chal mujhe tu aasmaan ke aur.
Jawani Ka Josh
Abhi-abhi aaya hai jawani ka josh,
Chahe yeh duniya de kitna bhi dosh.
Hoke befikr,
Apni har chahat ko poora kar.
Haay meri badhti umr,
Mat kar tu kisi baat se sharm.
Jimmedariyon Ka Bojh
Nahi raha ab jawani ka daud,
Ab nahi hai kandhon mein josh.
Jimmedariyan kar rahi hain, mere kandhon ko kamzor.
Haay meri badhti umr,
Ab nahi hota mujhse itna shram.
Budhape Ka Khauf
Lagta hai waqt muh mod raha hai,
Mera naseeb mera saath chhod raha hai.
Jimmedariyan nibhate-nibhate
Kab ban gaya kisi aur ki jimmedari.
Zindagi ko beete jeete,
Na jaane kab kar li maut ki taiyari.
Haay meri badhti umr,
Mat kar mujhpe zyada jhumra.