Aye waqt – Delhi Poetry Slam

Aye waqt

By Sonal Ekka

Aye waqt zara tham to ja
Ha ha pata hai tu kahan kisi
K liye rukne wala
To to mast maula hai
Apni mann ki karta hai
Par meri bhi thodi sun le
Ruk ja mere liye

Maine bhi thoda ruk jayoon
Thoda ro lun, thoda teher jayun
Fir ruk Jana kyonki mujhe khud k
Aansun pochne hai
Aur khud k bhikre hisse ko sammetna hai
Fir tu apni raftaar pakadna
Fir maine bhi tere sang chal padungi.

Par is baar ruk ja
Darr hai ki sab kuch theek kaise hoga
Darr hai ki maine bikhar na jayun
Ruk ja ek baar.

Tere is naye rang se darr lagta hai
Yeh jo tune mujhe ek
naye mod par laya hai
Ek nayi azmayeesh par la choda hai
Sach kahoon to himmat
haarne lagi hoon maine.

Tu reth ki tarah meri
Moothi se ja raha hai
Aur sab kuch yuhin bikhar raha hai
Tham ja, ki maine khud ko
Sammet kar kuch bun loo
Bharosa rakh loon.

Tu ek ishara to de ki ha
Mere liye nayi mod ka intezaam
Kar raha hai
Agla saal mere liye
Tere rang, rangoli se saabit ho
Kaala ya safed nhi,
Is baar kuch rang bhi bhar dena

Fir tujhe thaharne nhi kahungi,
Tu mast maula apni dhun mein chalte jaana


Leave a comment