Andha Samaj – Delhi Poetry Slam

Andha Samaj

By Chahat Agarwal

Waah rii duniya tum Jeet gyi
Phir ek ladki  ke sapno ka gala ghut gya
Ek baar phir samaj ,kanoon sab gir gya
Ek baar phir ek maa ka aanchal ujadh gya aur ek pita  ne apna swabhiman tuth gya
Kya galti thi uss ladki ki
Joh shikar hui iss samj ke sooch ka
Jis samaj ne usko diya roop devi ka tha
Kya pta tha  yeh sab ek juth tha
Ladhi voh aakhri saas tak aapne swabhiman ke liye
Bebas aur laachar hui jab paaya usssne akele aapne aap ko iss samaj ki sooch ke andhkar mei
Manni ussne saari sharte samaj ki
Naa chote kapde phene
Naa thi raat ko akele sadko pe
Bass Kar rhi thi mehnat aapne sapno ko paane ki odh mei
Ek baar phir samaj ke paane palte hai
Phele ek beti ne pukara tha aaj bhi ek beti pukar rhi hai
Aur naa jaane esi kitni aur betiyan ki bhi pukar Sunni baaki hai 
Kya galti thi 
Kya Sapne dhekna gunah hai
Phir kis baat ki saza mili ki
Hui shikar voh havaniyat ki
Hui shikar voh uss giri hui sooch ka
Jiski uski kalpana na ki thi
Ussne bhi soocha hoga unn aakhri lambho ki kya iss duniya mei esi jagah hai jhaa voh surakshit hoti
Dhoonda ussne bhot  par na mili maa ki khok  na hi samj ki chhath
Ussne bhi soocha hoga
Kya ladki hona gunah
Kaash voh ek ladka hoti
Phir azaad thi voh har pinzare se
saalo baad phir ek esi ghanta hui
Jis ne jinjor diya haar ladki ko
Mann li saari sharte samaj ki
Bass guhar kiaapni hifazat ki
Chhod diya voh aasma jisme uddhna chahti thi
Par hua hai ek naya sawera jis se samaj  bhi Darr gya
Jin  betiyon ko samjha ussne komal phool tha
Nikali voh baanke  durga ka roop hai
Chingari nhi aag Banke
Har gali ,mauhala jayegi
Nayay ki guhar lagayegi
Baat yhaa kisi ek peshe ki nhi
Baat ek ladki ki hai
Ek aurat ki
Ek janani ki
Ek abhi janami baachi se leke
Ek virdha ki hai
Yeh baat swabhiman ki hai
Ab yeh Durga  bani hai Kali
Bina daare samaj se aankh se aankh milegi
Thodh degi saare bandhan voh jisne zadka uske saapon ko
Sahi maeno mei ab lagegi aazadi ka saware voh
Thodhegi iss samaj ke haar ahnkhaar ko voh
Ithas gava hai jab jab naari ne uthayi apni awaaz hai
Kaap utha samaj hai
Iss baar bhi karne aayi nayay ki maang hai
Kyunki raat humari hain
Kyunki raat humari hain


Leave a comment