By Antara Verma

Ahsaas tumhare hone ka itna pyara gahraya hai
Har saanson mei bas tu hi tu, ik Khushboo banke samaya hai
Sansar ki gahmagahmi mei bahutere patra nibhaye hain
Par tere pyare hone ka,tumpar nyochhawar hone ka
Yah nutan madhur samagam hai, ik sunder poorna samarpan hai
Ahsaas tumhare hone ka, Ahsaas tumhara hone ka
Ek boond ka sagar mei khone ka,Rangon ko apna astitva chhod phir rangahin ban jaane ka
Iss jeevan ka yah ik prayas uss sadchit mei ram jane ka