AANGAN AUR NASLIEN – Delhi Poetry Slam

AANGAN AUR NASLIEN

By HEMENDRA KUMAR SONI

 

 

EK AANGAN KI KILKARI, JAB KIL KIL ME TABDEEL HUI,
PHIR US AANGAN KE BEECHON BEECH, EK DEEWAR KHADI HUI.
ES PEEDHI SE UMEEDIEN TUM, KARTE HO BUDHAPE ME,
YE TO WO SANTANIEN HAI, JO BATWARE ME BADI HUI.
APNE GHAR KI DEEWARON SE, TAKRANE PAR MAHSOOS HUA,
AB TAK KOI JEETA HAI KYA, JUNG APNO SE LADI HUI.
AYSI BHI AULADIEN KYA, JINHE JAZBAATON KA ILM NA HO,
KIS KAAM KI AYSI DUNIYA, AUR AYSI NASLIEN PADHI HUI.


Leave a comment