By BITUPAN DAS
Raahein mushkil hain to kya,
Manzil door hai to kya.
Tu do kadam to chal,
Har kadam pe manzil milegi.
Ret pe nishaan banne to de,
Tu ek nayi raah banayegi.
Samundar ki lehron mein,
Aksar hosla kahin kho jata hai,
To thoda aur hosla to rakh,
Tujhmein ye lehren bhar jayengi.
Aasan nahi hai tairna ye samundar,
Tu ek baar haath-pair maarke to dekh.
Lehren khud hi simat jayengi