Kaisi uljhann hai yeh – Delhi Poetry Slam

Kaisi uljhann hai yeh

By Gurmeet Kaur

Uljhanne is kadar hai meri,
Ki soch me padh gai hu,
Ki shuruaat kaha se karu
Shuru se kru ya aaj ki daastaan byaan kru..
Logo ke jawaab sunu yaa
Apne mann se sawaal kru..
Kaisi uljhann hai yeh
kis baat ka intezar hai..
Mann se bhi kya ghuftugu kru
Uske paas bhi hazaar sawaal hai..
Aajkal to mere dil or dimaag ko
naa jaane kon si jununiyaat sawaar hai..
Samajh nahi ata ki kamzor hu,
Ya taakat beshumaar hai..
Sambhal jaega ye waqt bhi shayad,
Tehrne(to stay) me hi baat hai..
Kaisi uljhann hai yeh kis baat ka intezar hai..
Manzil to sachi hai,
Shayad raasta beymaan hai..
Unn galiyonn ko kese bhul jau,
Jaha tere hone ka ehsaas hai..
Jaanti hu mein ki khushiyaan or gam
Is zindgi kaa bhaag hai
Par tum konse hisse me aate ho
Ye batana thoda kam asaan hai..
Kaisi uljhann hai yeh kis baat ka intezar hai
Is uljhann ko suljhane k liye ab bas
Waqt ka intezar hai..


Leave a comment