Eesha Roy
Jab main kehta hu ki mai tere rooh toh kya tere parchhayi se waakif hu, toh tu samajh ja na?
Jab main kehta hu ki sardi mei chai aur mujhmei tu ek si hai, toh samajh ja na?
Jab main kehta hu ki tere zulfon ki gehrai mujhe ghazal si lagti hai toh tu samajh ja na?
Jab main kehta hu ki mujhe ghar jaana hai, main tere saath rehna chahta hu, arre, samajh jaa na?
Jab main kehta hu ki kehkasha ki raaz mujhe bhaati hai, toh main tere aankhon ki baat karta hu, tu samajh ja na?
Jab main kehta hu ki mujhe tere saath ki gayi har guftagu mei jaadu sa lagta hai toh tu samajh ja na?
Jab main lamhon mei tujhe paana chahta hu aur tujhmei har woh lamha, toh tu samajh ja na?
Jab main kehta hu ki teri baaton ki narmi aur haathon ki garami, aur baaton ki garmi aur haathon ki narmi mei main mujhko khoj leta hu, toh tu samajh ja na?
Samajhti nahin tu.
Mere alfaaz sunn toh leti hai,
Mere alfaaz pe muskuraakar mujhe tabaah toh kar deti hai
Par samajhti nahin tu
Iss qadar ki woh nasamajhi mujhe berahami lagti hai,
Par woh berahami bhi teri hai,
Aur tu samajhti nahin hai.