The Most Indian Thing About Me

By Aranya Chandra

 

Aaj bhi jab kisi situation mein dil ki dharkan tez hoti hai toh

use “Aa-a-a-all is well” bolke shaant karati hun

Jab bhi kisi musibat main hoti hun toh

“bade bade shehro mein choti choti baatein hoti rahti hai” bolti hun

Jab bhi kabhi zindagi muh ke bal girati hai toh

“haar ke jitne waalein ko bazigar kahte hai” yeh bolke dobara khadi hoti hun

Haan main zindagi ke har mor pe bollywood ka zikar karti hun

“Bollywood is the most Indian thing about me “, isliye maanti hun

 

 

Jab bhi long drives pe jaati hun car ki seat pe chadhke baal lahrate huye

“khaabon ke parindey” gaane ka mann karta hai

Itihaas gawa hai ki India ki koi bhi family picnic

bus mein bollywood gaane gaaye bina adhura hota hai

Chaahe party kitna rocking kyu na ho, EDM chahe kitna bhi lit kyu na ho 

Big B ke “Jumma chumma de de” pe nache bagair yeh dil nehi maanta hai

Haan main zindagi ke har mor pe bollywood ka zikar karti hun

“Bollywood is the most Indian thing about me “,isliye maanti hun

 

 

Chaahe kitni bhi blockbuster angrezi filmein kyu na dekhlu

Seeti toh bas theatre mein baithke hindi filmon pe hi maarti hun

Jab bhi kabhi saari pehnti hun toh filmo ki tarah

crush ke watch mein pallu atakne ka khyaal aate hi blush karti hun

F.R.I.E.N.D.S ki chaahe kitni badi fan kyu na ho

Har trio mein apne Farhan aur Raju ko dhundti hun

Haan main zindagi ke har mor pe bollywood ka zikar karti hun

“Bollywood is the most Indian thing about me “,isliye maanti hun 

 

 

Jab bhi zindagi mein kuch bada achieve karti hu toh background mein

“papa kahte hain bada naam karega” bajte imagine karti hun

Pata hai bollywood logic se pare hai fir bhi na jane kyu is realistic duniya mein

Apni unrealistic bollywood wali love story ki talaash mein hu

Agar zindagi mein kuch bhi thik na ho toh “every cloud has a silver lining” mein nehi balki “ picture abhi baaki hai mere dost “ mein vishwaas rakhti hun

Haan main zindagi ke har mor pe bollywood ka zikar karti hun

“Bollywood is the most Indian thing about me “, isliye har dafa maanti hun .

-------------------------------------------------------------------------------------------
This poem won in Instagram Weekly Contest held by @delhipoetryslam on the theme 'Indianess'

2 comments

  • It is just superb the way you narrated it. This must be the most Indian thing about many people. Keep it up !

    Heta Thakar
  • I just read this and this is such an awesome poem, the way you have gathered all the points had me smiling while reading the poem. keep writing!

    nishi.y

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published