Teri Muskurahat

By Shaistah Chasmawala 
Tere haath sirf maile hi nahi,chote bhi hai
Haath mein sirf katori hi nahi, sapne kuch mote bhi hai.
Baaye haath mein choti behen aasu baha rahi hai
Tu usse ummeed deke mana rahi hai.
Apni ummeed ko baar baar phate hue kapde se chamka rahi hai,
Tu paiso se ameer na hi sahi, himmat se toh tu crorepati hai.
Tu anaath hai, roti kamaane wali ya baal vyapaar Ka shikaar?
Kaun hai zimmedaar?  Tere maata-pita, vidyaheenta ya sarkaar?
Tujhe log sawaal puchte ki tum paathshala jaati ho?
Tu muskura kar sir hilaati hai kyuki aur kuch nahi hai bataane ko.
Itni pareshani hote hue bhi tu muskura leti hai
Kabhi sadak ki roshni toh kabhi gubbaaro se mann behlaa leti hai.
Gubbaare bikau hi sahi kaafi rang birange hai
Unhe paiso ke liye balidaan karke tere dil mein horahe dange hai.
Tujhe thand aur bhuk lagti hai main jaanti hu
Tere dukh mere dukh se thode zyaada hi sahi, lekin teri ghutan ko main pehchaanti hu.
Teri ghutan ko main pehchaanti hu. 
-------------------------------------------------------------------------------------------
This poem won in Instagram Weekly Contest held by @delhipoetryslam on the theme 'Street Kids'

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published