Har Pal

By Reetu Gupta

Manna ki who mohobbat bs ek pal ki hi thi

Kyonki who mohobbat jhooti thi

Tabhi toh woh mohobat chooti thi

Mohobbat ka fitoor kuch yuh chdha ki

Mohobbat mai waqt ka maloom hi nhi chla

Ab haalaat yeh h janab,

Ki waqt humey kaat rha h

Ya hum waqt ko maloom hi nhi hota

Waqt waqt ki baat h janab

Har pal waqt kuch kehta h!!

 

Maana……Maana ki woh mohobat jhooti thi

Par pta nhi  kyon bajaye sachi mohobat ko talashne ke

Dil ki kushi toh uss jhooti mohobat ko mehfooz rkhne mai thi

Har pal dil kuch kehta h!!

 

Waqt ka haseen simat toh dekhiye janab

itni berukhi se aapna rukh mod lia   

aur khabar bhi nhi lgne di

Yuh toh waqt hmare darmiyaan hi tha

Humney kabhi waqt ko waqt nhi dia

Aur ab waqt humey kabhi waqt nhi deta

Pal mai hi mohobat ayee

Pal mai hi mohobat chali bhi gyi

Har pal waqt badal ta h!!

 

Kehte h waqt aur qismat pr kisi ka bss nhi chlta,

Log aksar bhool jate h ki,

Dil ke mamle mai bhi kisi ka bss nhi chlta,

Har pal qismat badalne ki takat rkhta h!!

 

Yuh toh har pal kuch kehta h,

Har pal dil kuch kehta h,

Har pal waqt badal ta h,

Har pal qismat badlne ki takat rkhta h,

Toh har pal ko khoob jiyo,

Kyonki pta nhi konsa pal tumhara aakhir pal ho,

Har pal kuch kehta h!!


4 comments

  • Good job ! 😍 Something with which everyone can relate themselves ✔️

    Bushra
  • So perfectly she described all the feelings just in few lines ❤

    Nandnee
  • Loved it! Keep Going, will love to read more poetries by you ❤

    Ritika
  • So true….. I really like the poem… full of feelings. ..

    Ruchika

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published