I Dare to Dream

Shiva Sharma Akalwadi

Fatee hui aediyon se behte khoon ki tarah
sapno ki bhi koi aukaat nahi hoti
Toote hue jism par fir bhi malham lag sakta hai
Toote hue jazbaat ki to aawaz bhi nahi hoti
Nanhi nanhi aankhon ko pata bhi nahi chalta
ki uske mukammal jahan ke darwaaze
pehle hee chinwa diye gaye hai
Ladki hai aakhir kaar
sapne dekhne ki ijaazat kisne di?
Kambhaqt dil, tujhe intna bhi nahi pata
Indradhanushi rangon mein na jaane kitne mahal khade kar diye tune
Umar ka khayal to kar liya hota
Jo jawaani mein na mil saka,
Woh ab, balon ke safedi ke beech kaise milega?
Kabhi na kaha phir bhi sabne sun liya
mere sapno ka raaz mohalle ki charcha ban gaya
chai ki chuskiyon par meri hasee udayi gayi
pehredar bhi khade kiye gaye
aur tamasha bhi banaya gaya
Gunah bahut sangeen tha
Maine apni zindagi ko girvi na rakhne ka faisla jo kar liya tha,
Dabee hui, talabdaar saanson ki aahat
aur jism ko josh se bhar dene wali
sapno ki taakat
meri umar, mere rang aur meri saamajik pehchaan se pare thi
Shayad isliye log sapne dekhte hain
Zinda rehne ka ehsaas
Khuli aankhon mein
bijli ki tarah chamak rahe 
khaabon se hee to milta hai....

3 comments

  • Miyaan tumne toh zakhm fir hare diye!

    Neha
  • Beautifully penned.
    Do have a look ‘The Keteki at Midnight’ if you could. :)

    Sharad Kamal Bezboruah
  • very nicely written wit all the emotions loved it❤️

    Ashwini Akalwadi

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published