Gumshuda Dil, Gumshuda Hum

Riya Singh


Uss din aapko dekha tha pehli baar

Toh samajh aaya pyaar kya hota hai
Bekaraari ka matlab
Hamne pehle na seekha tha

Aap zara sa muskurakar chale gaye
Ham sheher-sheher, gali-gali
Apna dil khojte reh gaye
Khanabadosh ki tarah jeena
Hamne pehle na seekha tha

Begaano ki tarah aapko dhundte hain har din
Sochte hain, mil gaye, toh keh hi denge kisi din
Aapka nazariya lubhata hai hamein
Nazaron se ishk ladana
Hamne pehle na seekha tha

​Deewano ki tarah ghoomte hain

Kabhi dikh gaye
Toh kar dena ishaara
Pyaar karne walo ki ranjish
Aap samajh sakein
Yeh guzaarish nahi
Magar itna jaan lijiye
Haath thaam kar chhodhna
Hamne pehle na seekha tha

4 comments

  • Pyaar karne walo ki ranjish
    Aap samajh sakein
    Yeh guzaarish nahi ???

    Toh yeh tishnagi kya hai….?

    Siddharth Sharma
  • Thank you so much Anirudh and Vishesh! I will definitely read your work and keep writing more :D

    Riya Singh
  • Aapka nazariya lubhata hai hamein
    Nazaron se ishk ladana
    Hamne pehle na seekha tha These lines are cool. Keep up the good work

    You can check mine too here https://delhipoetryslam.com/blogs/magazine/drishaya
    Let me know what you think about it. :)

    Anirudh Krishna
  • It’s so good. Filled my eyes with tears?

    Vishesh

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published