Ek Anaath ka Bachpan

By Amrita Verma
Kya tumhare bhi wo din beete the ek Rajkumar ya Rajkumari ki tarah,
Kya tumhe bhi khilaya Gaya tha naye naye khilauno se ek Angel ki tarah.
Kya tumhe bhi tumhari har zidd par chocolate khane ko mili the,
Kya tumhare bhi ansoon girane se pahle hi poch diye gye the.
Ye sawal tha un bachoo se zinko pata nahi bachpan hota hai kya,
Ye sawal tha un bachoo se zinhe khelne, sone aur padhne ki Umar me uthana pada ghar ka bojha.
Gaur se suniye jara unka jawab...
Dusro ki tarah padhne ko kitabe mili nhi hame,
Chocolate ki mithas Hoti h kya malum nhi hame.
Zidd karke bhi milta hai kuch, kya pta hame,
Teacher ki daant aur school ka tifin hota hai kaisa, kya pta hame.
Bade hokar kya Banna hai hame, ye to kbhi socha hi nahi,
Sapna to bas ye, Roj ki roti mil jaye aur chote bhai bahan ka pet bhar jaye bas yahi.
Ache kapde kbhi pahne nahi, utaran se hi kam chal gya,
Thand me ek chappal kya mili, Laga pura jnha mil gya.
Dadi Nani ki ho wo kahani ya ho unka pyar,
Maa ki gode ki lori, Hoti h kaise, nahi pta yar.

1 comment

  • Very Nice and Heart Touching

    Narendera Kumar

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published