By Sharmila
Mere balcony mein jo paudhe lage hain,
Unme se do mein hi kabhi phool nahi aate.
Ek saath paas paas rehte hain phir bhi phool nahi aate,
Lipat lipat ke rehte hain, phir bhi phool nahi aate.
Mali aakar aise dono ko dekhte hain,
Jaise woh do mere bagiche ka nuksaan hain.
Mujhe yaad aate hain aisa,
Do nar haath pakad ke jaisa.
Din raat subah shaam sabki nazar bachaake,
Raat ke ghane chaadar mein dono,
Chaand ki roshni mein ghuli hui andhera jaise.
Kabhi jugnoo ki tarah ek dusre se,
Tim tim nazar milate.
Mere do paudhe ke jaise.
Mujhe unhe seechna hain,
Mere bagiche mein seechna hain.
Phool nahi aate par lipatna unka mujhe accha lagta hain,
Pyaar hara rahe, bhara rahe,
Mujhe unhe seechna hain.
Very meaningful. The message can be visualized so vividly.
Nice…heart touching poem!!
Beautiful poem ma’am! Very vivid and evocative
Simple, evocative and so powerful!
Intense and beautiful.