By Seema Sharma
Aapni mamta ke aagosh mei hamesa aapne baacho ko liya,
Binna kisi pareshani ke,
Har ek sangarsh ko sahan karati hui,
Aapne baccho ko khushi ke aanchal mein samet leti hai,
Kitne bhi pareshaani kyon na de hum,
Nazarandaaz kar deti hai,
Aur mamta ke samundar mein le jati hai,
Har bar har paristhiti se jujti,
Par ek kharonch bhi aapne baacho ko naa aane deti,
Lad rahi hai hamare hei chakravyooh se,
Shaant baithee,
Aapni dhairyataa ko dikhate hui,
Aur hamari saari khvaahishon ko poora karti hui,
Bas chale jaa rhai hai hamari hei paristhiti mein dhalke,
Bina kuch kahe.....Hamari Mathru bhoomi.....
-------------------------------------------------------------------------------------------
This poem won in Instagram Weekly Contest held by @delhipoetryslam on the theme 'Mother Gaia'