Adhura prem

Jyotirmayee patel

Irada to kayamat tak sath nibhane ka tha
Per jane kab in manjilo k pate badal gae
Chahat to sitaro sa sath chamakne ka  tha
Par hum falak pe saje us adhure chand se hi rah gae
Tere sath hone par,
hum tanhai me bhi akele na the 
Ab in lakho k bhid me bhi hum tanha se kyu rah gae
chod gae jab tum hume 
 hum to jeena hi bhul gae
Apni zindagi ka diya mere naam kar
maut k andhero me tum kaha kho gae?
Yu beech dagar chod gae tum,
to kya ?
Mera dil to tum apne sath hi le gae
Tumhe bhula pana itna asan nahi
Ab yado k sahare hi hum jeena seekh gae.....

Leave a comment

Please note, comments must be approved before they are published